Kesar Ko Duniya Ki Sabse Mahenge Masalon Mein Se Ek Mana Jata Hai. Iska Sundar Rang Aur Khushbu Ise Sabse Alag Banata Hai. Iska Istemal Dudh Ya Dudh Se Bane Pakvanon Mein Jyada Kiya Jata Hai.
Aap Jaankar Hairan Rah Jaenge Ki Kesar Apni Kai Tarah Ke Aushdhiy Guno Ke Liye Bhi Jana Jata Hai. Aaj Article Mein Ham Aapko Kesar Ke Fayde Se Judi Puri Jankari Dene Wale Hain.
Ayurved Mein Kesar Ka Bahut Hi Adhik Mahatva Bataya Gaya Hai. Ayurved Ke Anusar Kesar Ka Sevan Karna Chhote Bacchon Se Lekar Budho Tak Ke Liye Kafi Faydemand Hai.
Hamare Sharir Ko Kesar Se Na Sirf Tarah Tarah Ke Fayde Pahunchte Hain Balki Kesar Kai Bimariyon Ko Hone Se Bhi Rokta Hai. Rog Ho Jaane Ke Bad Yeh Use Theek Karne Mein Bhi Hamari Madad Karta Hai.
Kesar Ek Vishesh Prajati Ka Phool Hai. Ayurved Mein Kesar Ka Bahut Upyog Bataya Gaya Hai. Kesar Lamba Aur Lal Rishedar Hota Hai. Kaise Jitna Lal Hota Hai Utni Acchi Iski Gunvatta Hoti Hai
. Kesar Ka Upyog Paramparik Chikitsa Padhati Main Kai Prakar Se Kiya Jata Hai.
Ek Research Ke Anusar Kesar Mein Anti-inflammatory, Anti Alzheimer, Anti Convulsant Aur Antioxidant Jaise Gun Paye Jaate Hain.
Iske Alava Kesar Ka Upyog Balgam Nikalne, Bhookh Badhane, Mensuration Flow Ko Badhane, Acche Hajme Mein Aur Masudo Ki Samasya Ko Dur Karne Ke Liye Bhi Kiya Jata Hai.
Iske Alava Yah Kai Tarah Ke Postik Tatvon Se Bharpur Hota Hai. Jismein Fibre, Vitamin C, Magnese, Potassium, Iron, Protein Aur Vitamin A Jaisi Jaroori Nutrient Shamil Hoti Hai.
Kesar Mein Paye Jaane Wale Ye Gunkari Postik Tatva Ise Sehat Ke Liye Kafi Faydemand Banate Hain.
Kesar Ke Fayde–Benefits of Kesa
Kesari Gunkari Khadya Padarth Hai Jo Sharir Ko Kai Tarah Se Fayda Pahunch Jata Hai. Iska Stemal Ayurved Mein Sadiyo Se Kiya Gaya Hai. Aaj Ham Aapko Kesar Se Jude Sabhi Fayde Ke Bare Mein Sampurn Jankari Denge.
Bacchon Ki Sardi Me Kesar Khane Ke Fayde
Chhote Bacche Alag Alag Tarah Ke Bimari Se Bimar Pad Jaate Hain. Is Tarah Ke Chhote Bacche Ko Sardi Ki Shikayat Bahut Hoti Hai, Aise Mein Kesar Ko Garm Dudh Ke Sath Piskar Chhati Per Lep Karen.
Issee Sardi Jaldi Theek Ho Jata Hai.
Sardi Jukam Mein Kesar Ke Fayde
Sardi Jukam Bahut Hi Sadharan Bimari Hai. Jo Log In Bimariyon Ka Ayurvedic Tarike Se Upchar Karna Chahta Hai, Unhen Bhi Kesar Ka Niyemit Roop Se Sevan Karna Chahiye.
Aisa Karne Se Unki Immunity Kafi Behtar Hogi Aur Sardi Jukam Se Bhi Unhen Rahat Mil Jayegi.
Cancer Se Bachav Mein Kesar Ke Fayde
Kesar Ka Upyog Cancer Se Bachav Mein Kiya Ja Sakta Hai. Is Se Jude Vaigyanik Shodh Ke Anusar, Kesar Mein Maujud Crocetin Colorectal Cancer Koshika Ko Badhane Se Rokta Hai.
Iske Alava Kesar Prostate Cancer Aur Skin Cancer Ke Jokhim Ko Bhi Kam Karne Mein Madadgar Ho Sakta Hai.
Vahin, Ek Anya Research Ke Anusar Kesar Ka Ark Manav Ki Tumour Koshika Ko Badhane Se Rokane Ka Kam Kar Sakta Hai.
Is Baat Ko Dhyan Mein Jarur Rakhe Ki Kesar Ka Upyog Cancer Se Bachav Mein Kuchh Had Tak Sahayak Ho Sakta Hai, Lekin Yah Iska Upchar Nahin Hai. Cancer Ke Upchar Ke Liye Doctory Chikitsa Bahut Jaruri Hai.
Dandruff Ke Liye Kesar Ke Fayde
Kai Log Dandruff Ya Rusi Ki Samasaya Se Pareshan Rehte Hain. Vah Log Dandruff Se Chhutkara Pane Ke Liye Alag Alag Tarike Ke Upay Ko Apnate Hain. Iske Bad Bhi Kai Bar Unki Pareshani Khatm Nahin Hoti Hai.
Aise Mein Kesar Ka Prayog Karna Labhdayak Hota Hai. Dandruff Ko Hatane Ke Liye Kesar Ko Tel Mein Paka Le Aur Isse Sar Per Malish Kare. Isse Dandruff Ki Samasya Se Nijat Mil Jati Hai.
Garbhavastha Ke Dauran Kesar Khane Ke Fayde (Kesar Ke Fayde In Pregnancy In Hindi)
Garbhavastha Ke Dauran Bhi Kesar Ka Sevan Faydemand Ho Sakta Hai. Cheeni Paramparik Chikitsa Ke Anusar Kesar Ka Upyog Pregnancy Ke Doran Faydemand Hota Hai.
Vahi, Yah Bhi Mana Jata Hai Ki Kesar Pahle Timahi Mein Bhurun Ko Nuksan (Side Effects) Pahuncha Sakta Hai. Iske Alava Shodh Mein Yah Bhi Jikar Milta Hai Ki Pahli Timahi Ke Bad Lagbhag 0.5 Se 2 Gram Pratidin Li Jaane Wali Khurak Prasav Mein Madadgar Ho Sakti Hai.
Shodh Mein Aage Yah Bhi Jikar Milta Hai Ki Kesar Ka Sevan Karne Se Garbhvati Mahilaon Mein Normal Delivery Ki Sambhavna Badh Sakti Hai. Filhal Is Vishay Per Abhi Aur Satik Shodh Ki Avashyakta Hai.
Vahi Garbhavastha Mein Iska Sevan Karne Se Pahle Doctor Se Paramarsh Jarur Le.
Anidra Mein Kesar Khane Ke Fayde
Kesar Ki Gun Mein Anidra Ki Samasya Se Chhutkara Bhi Shamil Hai. Darasal Kesar Se Jude Ek Vaigyanik Research Mein Main Is Baat Ka Jikr Milta Hai Ki Kesar Ka Prayog Depression Ki Sthiti Mein Sakaratmak Prabhav Chhod Sakta Hai, Jisse Ek Acchi Nind Lene Mein Madad Milati Hai.
Vahi Ek Vaigyanik Research Ke Anusar Kesar Mein Maujud Crocetin Nind Ko Badhava Dene Ka Kam Karti Hai, Is Aadhar Per Kaha Jata Sakta Hai Ki Kesar Ka Prayog Nind Ki Bimari Se Chutkara Dila Sakta Hai.
Kesar Ke Fayde For Skin
Research Se Pata Chala Hai Ki Kesar Ke Fayde Skin Ke Liye Bhi Kafi Hote Hain. Kesar Ka Prayog Prakrutik Aushadhi Ke Roop Mein Surya Ki Hanikarak Uv Kiranon Ke Prabhav Ko Dur Karne Ke Liye Kiya Ja Sakta Hai.
Kesar Mein Kuchh Aise Visesh Gun Hote Hain Jis Se Surya Se Aa Rahe Khatarnak Uv Ray Ko Hamari Skin Mein Ghusne Se Bacha Sakte Hain.
Ek Shodh Ki Mane To Kesar Ka Upyog Skin Ko Moisturize, Skin Ko Mulayam Karna, Khujali Ko Dur Karna, Twacha Ki Chamak, Pigment Ko Kam Karna, Vah Aankh Ke Niche Kale Ghere, Muhase Funsi Aur Anya Skin Ki Samasyaon Ke Upchar Mein Kiya Ja Sakta Hai.
Kesar Ke Fayde For Hair (Balon Ke Liye Kesar Ke Fayde)
Kesar Balon Ke Liye Kafi Faydemand Ho Sakta Hai. Is Se Jude Ek Research Ke Anusar Yah Balon Ko Badhane Mein Madad Kar Sakta Hai.
Shodh Mein Paya Gaya Ki Kesar Balon Ke Jhadane Ko Rokane Mein Madadgar Hai, Ye Alopecia Jaisi Balo Se Judi Samasya Mein Faydemand Ho Sakta Hai.
Kesar Ka Prayog Kaise Karen (How To Use Saffron In Hindi)
Kesar Ka Prayog Niche Diye Gaye Tariko Se Kiya Ja Sakta Hai :-
- Raat Mein Sone Se Pahle Kesar Dudh Mein Peene Se Fayde Hote Hain. Ek Gilas Dudh Mein Kesar Ke Kuchh Dhaage Ya Kesar Powder Ko Mila Kar Piya Ja Sakta Hai. Ek Gilas Dudh Mein Chutki Bhar Kesar Powder Ya 3-4 Kesar Ke Dhaagon Ka Istemal Hi Kiya Ja Sakta Hai.
- Dudh Se Bane Pakwan Jaise Kheer, Mithaai Aadi Mein Kesar Ka Stemal Kiya Ja Sakta Hai.
- Kesar Ka Stemal Chawal Ke Vyanjan Jaise Pulao Ya Biryani Banane Mein Kiya Ja Sakta Hai.
Kesar Ke Nuksan (Side Effect Of Saffron In Hindi)
Kafi Gunkari Khadya Padarth Hai Aur Iska Istemal Ayurved Mein Sadiyo Se Kiya Ja Raha Hai. Haalaki Iska Atyadhik Sevan Hamare Liye Nuksandayak Bhi Ho Sakta Hai.
- Kesar Mein Potassium Bharpur Matra Mein Paya Jata Hai, Jiski Atyadhik Matra Se Sine Mein Dard (Chest Pain), Sans Ki Taklif, Ji Michlana Aur Ulti Ho Sakti Hai,
- Pregnancy Ke Pehle Timahi Ke Dauran Yah Garbhashay Ko Uttejit Kar Sakta Hai, Jo Garvpat Ka Karan Ban Sakta Hai.
- Kesar Calcium Mein Samriddh Hota Hai Aur Calcium Ki Adhiktam Matra Kabz Ka Karan Ban Sakti Hai.
Conclusion
Doston Aaj Ke Article Mein Humne Aapko Kesar Ke Fayde Bataien. Aapko Humne Kesar Ke Fayde In Pregnancy In Hindi Bhi Bataya. Sath Hi Kesar Ke Fayde For Skin Ki Jankari Bhi Aapko Di Gai.
Aapko Ham Ne Bataya Kesar Ke Fayde Hindi Mein. Agar Aapko Yah Sabhi Jankari Pasand Aai To Ise Apne Doston Aur Parivar Ke Sath Jarur Share Kare. Agar Aapke Mann Mein Koi Bhi Sawal Hai To Use Comment Box Mein Jarur Likhen.
1 thought on “Kesar ke fayde | केसर खाने के फायदे और पूरी जानकारी”