Neem ke Fayde Ke Bare Mein To Aap Sabhi Ne Suna Hi Hoga. Neem Ek Aushdhiy Ped Hai Jiska Lagbhag Sabhi Bhago Ka Istemal Swasthya Ke Liye Faydemand Mana Jata Hai. Ayurved Mein Main Neem Ki Aham Bhumika Hai.
Iska Prayog To Twacha Sambandhi Pareshaniyan Se Lekar Swasthya Sambandhit Samasyaon Ke Liye Kiya Jata Hai. Aaj Ke Is Article Mein Hum Neem Ke Kai Asadharan Fayde Ke Bare Mein Janenge.
Antibiotic Guno Se Bharpur Neem Ko Sarvoch Aushadhi Ke Roop Mein Jana Jata Hai. Yah Swad Mein Bhale Hi Karva Ho Lekin Is Se Hone Wale Labh Amrit Ke Saman Hote Hain.
Vaise To Neem Ke Pass Aapki Har Samasya Ka Ilaaj Hai Aur Isiliye Aajkal Bajar Mein Neem Se Judi Lagbhag Sabhi Product Mil Jayegi.
Aap Sabhi Ne Kahin Na Kahin Yah Suna Hi Hoga Ki Neem Kafi Faydemand Hota Hai, Lekin Neem Ke Fayde Kya Kya Hai Yah Neem Ka Upyog Kin Kin Rogo Mein Kar Sakte Hain Is Baat Ki Puri Jankari Aapko Nahin Hogi.
Neem Ke Fayde For Skin In Hindi, Neem Ke Patton Ka Kadha Ghav Ko Dhone Mein Kafi Upyogi Mana Jata Hai. Iske Reshe Reshe Me Khoon Ko Saaf Karne Ka Gun Hota Hai.
Neem Ke Fayde Ek Nahin Balki Kai Sare Hain. Yahi Karan Hai Ki Iska Prayog Sadiyo Se Kiya Ja Raha Hai. Ismein Antibacterial, Antifungal, Antioxidant Aur Antiviral Gun Maujud Hote Hain.
Yahi Nahin Aap Jaankar Hairan Ho Jaenge Ki Neem Saanp Ke Jahar Ke Asar Ko Bhi Kam Karne Ki Shamta Rakhta Hai. Iske Alava Neem Ke Fayde Aur Bhi Hai Jo Hum Is Artical Mein Vistar Mein Jaenge.
Neem Ke Fayde : Benefits of neem
Ayurved Mein Neem Ka Istemal Kai Bimariyon Se Ladne Ke Liye Kiya Jata Hai. Iska Upyog Skin Ke Sath Sath Kai Sharerik Pareshani Ko Kam Karne Ke Liye Kiya Jata Hai.
Neem Ke Fayde For Hair
Neem Ke Fayde Balon Ke Liye Bahut Hi Labhkari Hai. Bal Jhadane Se Lekar Balon Ke Samay Se Pehle Pakne Jaisi Balon Ki Samasya Main Iska Istemal Kiya Jata Hai. Neem Ke Bij Ko Piece Kar Ya Fir Neem Ke Patton Ke Kaade Se Sar Dhone Se Balon Ki Juen Mar Jaate Hain.
Ek Vaigyanik Shodh Mein Neem Ke Tel Ko Juen Ke Khilaf Kargar Upay Mana Gaya Hai. Khaskar Se Bacchon Mein Sar Ki Juen Ke Upchar Main Prabhavi Mana Jata Hai. Rusi Ko Kam Karne Ke Liye Bhi Neem Ke Tel Labhkari Hai. Dandruff Ke Liye Neem Ko Prayog Mein Laya Jata Hai.
Darshal Neem Mein Antifungal, Antibacterial Gun Hote Hain Jo Rushi Ka Karan Banne Wale Fungus Ko Khatam Karne Mein Sahayak Hote Hain. Yahi Nahin Neem Ka Tel Dandruff Hatane Ke Sath Sath Scalp Ko Saaf Rakhne Ka Kam Bhi Karta Hai.
Agar Aap Apne Rushi Se Pareshan Ho Gaye Hain Ya Aapke Sar Ki Dandruff Khatm Nahin Ho Rahi Hai To Aap Neem Se Bana Hua Shampoo Ya Fir Neem Ke Tel Ka Bhi Upyog Kar Sakte Ho.
Pimple Ke Liye Neem Ke Fayde
Pimple Se Nijaat Pane Ke Liye Neem Ka Upyog Behad Labhkari Mana Jata Hai. Neem Ka Prayog Muhason Ka Karan Banne Wale Bacteria Ko Panapne Se Rokane Mein Sahayak Ho Sakta Hai.
Vahi Ismein Antibacterial Aur Anti-inflammatory Gun Maujud Hote Hain Jiske Karan Kil Muhase Ki Samasya Se Bachav Mein Ya Kafi Faydemand Hai.
Pimple Se Chutkara Pane Ke Liye Neem Ka Paste Ya Face Pack Labhkari Sabit Ho Sakta Hai. Aise Mein Neem Ka Fayda Skin Ke Liye Aur Swasthya Ke Liye Kafi Kargar Hai.
Sans Sambandhit Samasya Ke Liye Neem Ke Fayde
Sans Se Sambandhit Samasyaon Ke Liye Bhi Neem Upyogi Sabit Ho Sakta Hai. Ek Research Mein Is Baat Ki Jankari Mili Hai Ki Neem Ke Patton Mein Anti-inflammatory, Antibacterial Aur Antioxidant Gun Maujud Hote Hain.
Iske Yah Sabhi Gun Pulmonary Inflammation Rogo Se Ladne Mein Hamari Madad Karta Hai. Neem Ka Anti Allergic Asthma Ki Samasya Ke Liye Kafi Labhdayak Ho Sakta Hai Aise Mein Asthma Ki Samasya Ke Liye Yog Ke Sath Sath Neem Ka Upyog Labhkari Sabit Ho Sakta Hai. Dama Ke Liye Neem Ek Ayurvedic Dawai Ki Tarah Kam Karta Hai.
High Blood Pressure Mein Neem Ke Fayde
High Blood Pressure Ki Samasya Se Bachav Ya Use Niyantrit Karne Mein Bhi Neem Ke Fayde Dekhe Ja Sakte Hain. Neem Mein Blood Pressure Ke Sttar Ko Kam Karne Ki Gun Maujud Hote Hain. Ek Research Mein Is Baat Ki Pushti Bhi Ho Chuki Hai.
Aise Mein High Blood Pressure Ki Samasya Se Bachaw Ya Niyantrit Karne Ke Liye Neem Ka Upyog Labhkari Ho Sakta Hai. Halaki Agar Koi High Blood Pressure Ki Dawai Ka Sevan Kar Raha Hai To Nind Ke Sevan Se Pahle Ek Bar Doctor Se Consult Jarur Kar Lena Chahiye.
Ulcer Ke Liye Neem Ki Chhal Ke Fayde
Ek Research Ke Anusar Neem Ke Chhal Ka Ark Gastric Ya Acidity Ya Fir Ulcer Ko Theek Karne Mein Madadgar Hai. Neem Ki Chhal Ka Ark Aushadhi Ki Tarah Kam Kar Sakta Hai.
Vahi Ek Aur Research Mein Neem Mein Anti-ulcer Gun Hone Ka Jikar Kiya Gaya Hai. Is Aadhar Per Kahan Ja Sakta Hai Ki Neend Ka Anti Ulcer Gun Ulcer Se Bachav Mein Sahayak Bhumika Nibha Sakta Hai.
Lekin Agar Aapko Ulcer Ki Problem Hai To Behtar Yehi Hogi Ki Aap Pahle Doctor Se Consult Karen Aur Doctor Ki Salah Ke Bad Hi Nind Ko Apne Jivan Shaili Mein Joden.
Diabetes Mein Neem Ke Fayde
Neem Ki Karwahat Diabetes Ki Samasya Ko Niyantrit Karne Mein Sahayak Ho Sakti Hai. Darasal Ek Research Se Pata Chala Hai Ki Neem Hypoglycemic Hota Hai. Iska Hypoglycemic Prabhav Blood Sugar Level Ko Control Karne Mein Upyogi Ho Sakta Hai.
Neem Mein Anti-hyperglycemic Gun Bhi Maujud Hote Hain. Is Aadhar Per Yah Mana Ja Sakta Hai Ki Neend Diabetes Ki Samasya Se Bachav Karne Mein Yah Blood Sugar Level Ko Niyantran Karne Mein Sahayak Ho Sakta Hai. Agar Koi Madhumeh Ki Dawai Ka Sevan Kar Raha Hai To Behtar Yahi Hoga Ki Neem Ke Sevan Se Pahle Vah Doctor Ki Advice Le.
Neem Ke Nuksan
Nind Ko Ek Prakrutik Vardan Mana Jata Hai. Lekin Iska Prayog Sahi Tarike Se Nahin Kiya Gaya To Yah Aapke Liye Nuksandayak Sabit Ho Sakta Hai.
- Ek Recharge Ke Hisab Se Neem Mein Blood Sugar Level Ko Kam Karne Ki Shamta Hoti Hai. Aise Mein Jin Logon Ko Low Blood Sugar Ki Samasya Hai, Behtar Yahi Hoga Ki Neem Ke Sevan Se Pahle Doctor Se Salah Jarur Karen.
- Neem Mein Garv Nirodhak Gun Maujud Hote Hain Isiliye Agar Aap Garbhdharan Karne Ki Soch Rahe Hain To Neem Neem Ke Sevan Se Bachana Chahie.
Conclusion
Dosto Aaj Is Article Mein Aapko Neem Ke Fayde Hindi Mein Humne Bata Diye Hain, Sath Hi Humne Aapko Neem Ke Nuksan Ke Bare Mein Bhi Bataya Hai.
Agar Aapko Hamari Baatein Hui Jankari Pasand Aai Ho To Ise Apne Doston Aur Parivar Ke Sath Jarur Share Karen. Agar Aapke Mann Mein Koi Bhi Sawal Hai To Use Comment Box Mein Jarur Likhen.
Other Articles
Motapa Aur Weight kam karne ka tarika
1 thought on “Neem ke Fayde | नीम के औषधीय गुण”