Tulsi ke fayde Ke Bare Mein To Ham Sabhi Jante Hi Hain. Ayurved Mein Bhi Tulsi Ko Ek Aushadhi Guno Se Bharpur Paudha Mana Gaya Hai.
Tulsi Ka Prayog Bahut Pahle Se Ayurvedic Davaiyan Mein Kiya Jata Hai. Yeh Kai Bimariyon Ko Sahi Karne Mein Kaam Mein Aata Hai. Ayurved Mein Tulsi Ko Ek Vishesh Darja Diya Gaya Hai.
Tulsi Ka Istemal Dadi Nani Ke Nuskhe Main Bhi Aapko Dekhne Ko Milta Hi Hoga. Tulsi Mein Antioxidant Gun Paye Jaate Hain Jo Badalte Mausam Mein Hone Wali Samasyaon Se Hamara Bachao Karti Hai.
Tulsi Sevan Kaise Kare
Tulsi Ke Fayde Ke Bare Mein Aap Sabhi Ne Suna Hi Hoga. Aaj Is Article Mein Ham Aapko Tulsi Ke Bare Mein Sampurn Gyan Dene Wale Hain. Bharat Mein Tulsi Ki Kai Prajati Pai Jaati Hai.
Aaj Ki Article Main Aap Ko Shyam Tulsi Ke Fayde, Van Tulsi Ke Fayde, Kali Tulsi Ke Fayde, Jolly Tulsi Ke Fayde Aur Tulsi Khane Ke Fayde Ke Sath Hi Tulsi Ke Kai Aur Fayde Bhi Jaane Ko Milenge.
Aap Tulsi Ko Kisi Bhi Roop Mein Kha Sakte Hain. Chahe Aap Shri Tulsi Ke Fayde Ke Bare Mein Janna Chahte Hain Ya Fir Panch Tulsi Ke Fayde Ke Bare Mein Janna Chahte Hain.
Aap Tulsi Ko Inme Se Kisi Bhi Roop Mein Prayog Kar Sakte Hain. Bajar Mein Tulsi Drop Bhi Milte Hain. Aap Tulsi Drop Ke Fayde Bhi Utha Sakte Hain. Tulsi Ko Patte Ke Roop Mein Khaya Jata Hai.
Tulsi Patta Khane Ke Fayde Bhi Kafi Anek Hai. Aap Tulsi Ko Ras Ke Roop Mein Bhi Kha Sakte Hain. Ayurved Me Tulsi Ke Ark Ke Fayde Ke Bare Me Bhi Kai Jagah Me Jikar Kiya Gya Hai.
Tulsi Ke Paudhe Me Kai Tarah Ke Aushadhiya Gun Paye Jaate Hain. Vahi Ghar Mein Tulsi Ka Paudha Lagana Bhi Kafi Shubh Mana Jata Hai. Tulsi Mein Antibacterial Properties Hoti Hai.
Kya Aapko Pata Hai Subah Khali Pet Tulsi Ke Patte Khane Se Sharir Ko Kahi Tarah Ke Fayde Milte Hain. Tulsi Ke Patte 4-5 Roj Khane Se Ye Hume Swasth Rakhne Mein Madad Karte Hain.
Iske Sath Hi Acidity Aur Pet Mein Jalan Ki Pareshani Ko Bhi Yah Dur Karte Hain. Body Ke Ph Level To Maintain Karne Mein Bhi Tulsi Kafi Faydemand Sabit Ho Sakti Hai.
Bharat Ke Adhikansh Gharon Mein Tulsi Ke Paudhe Ki Puja Ki Jaati Hai. Lakho Varsh Se Tulsi Ki Aushadhiya Ganon Ka Gyan Ham Bhartiya Logon Ko Hai Aur Isiliye Ayurved Mein Bhi Tulsi Ka Prayog Kai La Ilaaj Bimari Ke Ilaaj Ke Liye Bhi Kiya Jata Hai.
Tulsi Ke Fayde
Bharat Mein Tulsi Ka Prayog Sabjiyon Se Kiya Ja Raha Hai. Ayurved Mein Bhi Iska Prayog La Ilaaj Bimari Ke Ilaaj Mein Kiya Jata Hai. Aaj Ham Aapko Tulsi Ke Fayde Ke Bare Mein Sampurn Jankari Dene Wale Hain.
Dimag Ke Liye Tulsi Ke Fayde
Dimag Ke Liye Bhi Tulsi Ke Fayde La Jawab Tarike Se Kam Karte Hain. Iske Rojana Sevan Se Dimag Ki Karya Samta Badhati Hai Aur Hamari Yaddasht Bhi Tej Hoti Hai. Tulsi Ke Labh Uthane Ke Liye Rojana Iski 4 Se 5 Pattiyon Ko Pani Ke Sath Nigal Kar Khaye.
Muh Ki Durgandh Ke Liye Tulsi Ke Fayde
Tulsi Ke Patte Muh Ki Durgandh Se Nijat Dilata Hain. Rojana Tulsi Ke Kuchh Patte Muh Mein Rakhkar Chusne Se Muh Se Aane Wali Durgandh Dur Hoti Hai, Lekin Tulsi Ke Patton Ko Dant Se Chaba Kar Nahin Khana Chahiye.
Sardi Khansi Mein Tulsi Ke Fayde
Tulsi Mein Antibacterial Properties Hoti Hai. Subah Khali Pet Tulsi Ka Ek Patta Khayen, Is Se Kuchh Dinon Mein Aap Sardi Khansi Se Rahat Payenge.
Tulsi Ki Pattiyon Se Bane Sharbat 1 Se1.5 Chammach Ki Matra Mein Bacchon Ko Tatha 2-4 Chammach Tak Badon Ko Sevan Karne Se Khansi Aur Gale Ki Kharash Mein Labh Hota Hai. Is Sharbat Mein Garam Pani Mila Lene Se Jukham Tatha Dama Mein Bahut Labh Hota Hai.
Sar Dard Mein Tulsi Ke Fayde
Jyada Kam Karne Ya Adhik Tanav Mein Hone Par Sir Dard Hona Ek Aam Baat Hai. Agar Aap Bhi Aksar Sar Dard Ki Samasya Se Pareshan Rahte Hain To Tulsi Ke Tel Ki Ek Do Boond Naak Mein Dal Le.
Is Tel Ko Naak Mein Dalne Se Purana Sar Dard Aur Sar Se Jude Anya Rogon Mein Bhi Aaram Milta Hai, Sabse Jaruri Baat Yah Hai Ki Tulsi Ke Upyog Karne Ka Tarika Sahi Hona Chahiye.
Sinus Mein Tulsi Ke Fayde
Agar Aap Sinusitis Ke Marij Hai To Tulsi Ki Patti Ko Masalkar Ise Sunghe. Tulsi Ke Pattiyon Ko Masalkar Sunghne Se Sinusitis Rog Mein Jaldi Aaram Milta Hai.
Sar Ki Juen (Ju) Ke Liye Tulsi Ke Fayde
Agar Aapki Sar Mein Juen Pad Gaye Hain Aur Kai Dinon Se Yah Samasya Theek Nahin Ho Rahi Hai To Balon Mein Tulsi Ka Tel Lagaen.
Tulsi Ke Paudhe Se Tulsi Ki Pattiyon Ko Lekar Usmein Tel Milakar Balon Mein Lagane Se Unhen Maujud Jo (Juen) Mar Jaati Hai. Tulsi Ke Patte Ke Fayde Tulsi Ka Tel Banane Mein Prayog Kiya Jata Hai.
Dant Ke Dard Mein Tulsi Ke Fayde
Agar Aap Dant Dard Ki Samasya Se Pareshan Hai To Ismein Bhi Tulsi Aapki Kafi Madad Kar Sakta Hai. Tulsi Ki Patti Dant Dard Se Aaram Dilane Mein Kargar Hai.
Dant Dard Se Aaram Pane Ke Liye Kali Mirch Aur Tulsi Ke Patton Ki Goli Banakar Dant Ke Niche Rakh Dijiye. Aisa Krne Se Dant Ke Dard Mein Aaram Milega.
Sukhi Khansi Aur Asthma Main Tulsi Ke Fayde
Tulsi Ke Patton Ke Fayde Ke Bare Mein To Ham Sabhi Jante Hain Lekin Aap Yah Baat Jaankar Hairan Hai Jaenge Ki Asthma Jaise Itni Gambhir Bimari Mein Bhi Tulsi Kafi Labhkari Sabit Ho Sakti Hai.
Tulsi Ki Patti Ka Prayog Karke Asthma Ke Marij Aur Sukhi Khansi Se Pidit Logon Ko Labh Pahunchaya Ja Sakta Hai. Iske Liye Tulsi Ki Manjari ,sonth, Pyaj Ka Ras Aur Shahad Ko Mila Le Aur Is Mishran Ko Chat Kar Khayen. Iske Sevan Se Sukhi Khansi Aur Asthama Mein Labh Hota Hai.
Daad Aur Khujali Main Tulsi Ke Fayde
Daad Aur Khujali Main Tulsi Ka Ark Apne Ropan Gun Ke Karan Labhdayak Hai. Yah Daad Se Hone Wali Khujali Ko Kam Karta Hai Aur Sath Hi Ghav Ko Jaldi Theek Karne Mein Madad Karta Hai.
Yadi Tulsi Ke Ark Ka Sevan Kiya Jaaye To Yah Khoon Saaf Karta Hai. Skin Mein Hone Wali Rogon Mein Bhi Tulsi Ke Fayde Dekhe Ja Sakte Hain.
Conclusion
Dosto Aaj Ki Article Mein Humne Aapko Tulsi Ke Fayde Ke Bare Mein Bataya Hai. Tulsi Ko Ayurved Mein Sadiyon Se Stemal Kiya Jata Hai. Tulsi Ke Fayde Tulsi Ke Ras Ke Roop Mein Kiya Jata Hai.sath Hi Tulsi Ke Fayde Tulsi Ke Drop Ke Roop Mein Bhi Kiya Ja Sakta Hai.
Iske Alava Bajar Mein Tulsi Se Judi Kai Product Aapko Mil Jayegi. Agar Aapko Yah Article Pasand Aaya Ho To Ise Apne Doston Aur Parivar Ke Sath Jarur Share Karen. Agar Aapke Mann Mein Koi Bhi Sawal Hai To Use Comment Box Mein Jarur Likhen.
8 thoughts on “Tulsi ke fayde | Tulsi Benefits and Uses in Hindi”